Hello Students
Bahaot se students apna carrier banana ke liye best se best course
choose karte hai par kabhi kabhi ve un courses ko karke galti kar jate hai
because un courses main koi bhi carrier
nahi hota jisse students ko baad main pachtana padta hai. kuch Students 12th
karne ke baad undergraduate hi kuch courses ki preparation karne lag jate hai
and baad main government job ki preparation main lag jate hai but agar aaj ke
education system ki baat kare to aap jitne bhi courses karte hai unke karne ke
baad aap jobless hi rehte hai.
Bahaot se students aise hote hai jo bahaot hardly study karte hai,
graduation complete karte hai, post graduation complete karte hai and isi tarah
se ve lakho rupey apni study main use karte hai. But fir bhi ve jobless hi
rehte hai. Jiska result ye nikalta hai ki apko part time job karni padti hai ya government job
ki preparation karni padti hai ya fir koi business ke barein main sochna padta
hai.
So aaj ham apko aise 5 courses ke barein main batayege jo useless hai
but ham apko iski sahi guidance bhi dege ki apko kis institute ya kis college
se karna chahiye jisse apko baad main pachtna na pade, so let’s about it –
BCA (Bachelor of Computer
Application)
Bahaot se students aise hai jo BCA ke barein main soch rahe hoge ya ho
sakta hai kar bhi rahe honge but ham jo apko batane wale hai vo pehle jaroor
dekhe then baad main decision le. Dosto BCA ka jo syllabus hai vo Kafi salo se
change hi nahi hua hai iska matlab ye hai ki ye course kafi purana ho chukka
hai because jo apko BCA ke uder sikhya jata hai vo aaj bahaot se institutes
alag alag courses and diploma ke under main sikha rahe hai. To aap soch sakte
hai ki jab in courses ko 6 months ya 1 year main kar sakte hai to aap kyu BCA
main apne 3 years waste karege. Fir to better ye hoga ki aap BCA na karke inn diplomas ko kare and apna carrier banaye.
But fir agar aap BCA karna chahte hai to to kisi aise institute se kare
jaha job placement acchi ho ya fir apne sath main MCA ka course bhi kar rakha ho to
apko job mil sakti hai otherwise nahi.
BBA (Bachelor of Business
Administration)
Maximum students jo commerce side ke hote hai ve BBA to kar lete hai but
unko job nahi milti, agar apko job chahiye to apko pehle MBA (Master of
Business Administration) karna hoga tab jakar aapko job mil sakti hai. But ham
apko suggest karege ki agar apko MBA hi karna hai to apko BBA nahi karna
chahiye. Kyu aap apne 2-3 years BBA main waste kare and lakho rupye iss course
main spent kare infect better ye hoga ki aap B.Com ke baad direct MBA hi kare
kisi bhi top institute se and then job ke apply kare because BBA se better MBA
hai ye aap acchi tarah jante hai.
DESIGN & ART
Dosto isme bahot se courses aate hai like- Fashion Design, Music, Interior
Design etc aise bahaot se courses hai jinko karne ke baad students jobless
rehte hai and unko baad main koi job hi nahi milti hai. Iska reason hai
Practical Knowledge, because mostly institute aise hai jo apko course ki
knowledge to dete hai and uske barein main sab kuch batate hai but apko practical knowledge nahi dete. Agar ham all over
india main institute ki baat kare to 1 lakh institute main se only 60 thousands institute hi apko practical karke course ki preparation karvate hai. To aap
soch sakte hai ki hamare india ke institutes ki kya situation hai.
CHEAP MBA
Dosto agar iss course ko IIME Institute of Management se karte hai to
apki definitely job lag sakti hai. For you kind information ek organization ka
kehna hai ki 7% MBA students hi aise hai jo job ke liye applicable hai, 93%
students job ke liye applicable nahi hai. Ham apko ye nahi ke rahe ki aap MBA
na kare, ham keh rahe hai ki agar aap MBA karte hai to apko pehle CAT ka exam
crack karna chahiye and then apko ak acchi rank ke sath acha institute milega
and aap vaha se MBA kare to aap bad mein job ke liye applicable ho jayege. Kuch
students college ka study level nahi balki vaha ka Infrastructure dekh kar
admission lete hai because vaha par Swimming pool, Gym etc iss tarah ki
facilities hoti hai jis vajah se students attract hote hai but vaha ka study
level 0 hota hai to aap dekh kar hi admission le.
CHEAP B.TECH
Agar aap b.tech karte hai and apko 2-3 lakh spent karne ke bad bhi job nahi
milti, ya fir agar milti hai to sirf 10-20 thousand tak ki hi milti hai. To iska
reason yahi hai ki ham kisi bhi course ko karne se pehle institute ke barein
main nahi dekhte, vaha ka carrier opportunity nahi dekhte hai, uska review nahi
dekhte hai bas admission le lete hai jo bilkul galat hai. Agar har year ka
average dekha jaye to har har saal 15 lakh students B.TECH karte hai but only 2 lakh students ko hi job milti hai. To aap soch sakte hai ki apko kya
karna chahiye aur kya nahi.
To dosto hamne apko sahi guidence ke sath iss sab courses ke barein main ako aware kiya hai. Aap jo bhi course choose karte hai uska effect apke future par padta hai to aap soch samjhkar hi dicision le.
Dosto apko hamari post kaisi lagi, comment karke jarror bataye and more update ke liye aap hamari video bhi dekh sakte hai
link below hereπππππππ
0 comments:
Post a Comment