Hello Students
Agar aap kisi bhi government job ke
exam ki preparation kar rahe hai to jaroori hai ki apko pata ho ki apko kon kon
si mistake nahi karni chahiye. Kuch students preparations to start kar dete hai
but unko pata nahi hota ki unhe kya karna chahiye and kya nahi karna chahiye. Because
planning, strategy, syllabus, etc ye aisi things hai jiske barein main apko
seriously sochna hota hai agar apko first time main exam ko crack karna hai to.
To aaj ham apko aise tips dege jinhe
agar aap follow kar lete hai to make sure app kisi bhi government exam ko crack
kar sakte hai, chahe vo Bank ka exam ho, ya UPSC ka exam ho ya, Railways ka
exam ho, ya SSC ka ho, etc koi bhi exam ho aap unko definitely crack kar sakte
hai, so let’s talk about it.
MAKE SURE ABOUT Syllabus
Dosto agar aap pehle hi decide kar
lete hai ki apko kis line main jana hai, jaise ki apne decide kiya ki apko Bank
main job karni hai to aap pehle se hi bank ki preparation start kar dijiye, bhale
hi abhi uske form aane main time hai but apko pehle se hi prepare rehna hoga. But
kuch students aise hote hai jinko books ki jayada knowledge nahi hoti. Unhe lagata
hai ki agar ki agar unke syllabus main English hai to ve ek English grammar ki
book purchase kar lete hai. but ye bilkul galat hai because grammar main bahaot
se topics aise hai to har exam main nahi aate to better hoga ki aap pehle syllabus
ke barein main pata karein and baad main study karein.
JUST FOCUS ON ONE EXAM
Kuch students ko job ki itni need
hoti hai ki unhe jis government exam ke barein main pata chalta hai uski preparation
start kar dete hai. but isse hota kya hai ki apka focus ek exam par nahi rehta
hai, aap puzzle ho jate hai. to better yahi hoga ki apka jis line main jane ka
interest hai aap ussi exam ki preparation karein.
USE SEPRATE BOOK
Kuch students aise hote hai ki jab
unhe kisi exam ki preparation karni hoti hai to ve market jate hai aur ek book
purchase kar lete hai jisme hota kya hai ki
ussi book main apko sare subject mil jate hai jo ki bilkul wrong hai.
Agar apko better marks gain karne hai
to apko separate book hi purchase karni chahiye. Agar apke exam main 5 subject
aane wale hai to better yahi hoga ki aap separate book hi purchase karein. Jaroori
nahi hai ki aap sari books ek sath purchase karein, aap pehle kam book purchase
karein and preparation karein.
DON’T USE PRACTICE SETS IN STARTING OF PREPARATION
Dosto apne exam ki preparation to
start kar di but apne starting main hi book par dhyan na dekar sidha practice
sets par dhyan diya. Fir kya hota ki aap ke marks average aayege ….
To aaj ke blog me aapko ji tips mile kaise lage jaroor btaye
Great Article! I got too much information regards abroad studies and I will follow this tips. Thanks for sharing such a helpful article. Click here to more information about it
ReplyDelete