Saturday, September 19, 2020

DEVELOP THESE SKILLS AFTER 12th | 12th KE BAAD KYA KYA KARNA CHAHIYE

 Hello Students 

Dosto agar aapne 12th complete kar li hai to aaj ham aapko aisi skills  ke barein main batayge jinko apko jaroor sikhna chahiye. After 12th jab aap graduation karte hai to graduation ka jo period hotta hai vo life changing period hota hai because iss period main aap jitna jyada apni skills ko develop karenge utna jyada apko knowledge milegi and aap bahot jald aap apna carrier bhi bana sakte hai.

Kuch students sochte ki agar unko kisi government job main jana hai to ve graduation ke baad hi uski preparation karenge and coaching lenge jo ki bilkul wrong hai. Agar aap chahte ki aap ki jaldi hi joblag jaye ya 25 ki age mein hi settle ho jaye to apko grduation ke sath sath preparations karni hogi.

To kon kon si hai ve skills, let's talk about it-

PERSONALTY  DEVELOPMENT

Bahot se students aise hote hai jo bahot intelligent hote hai and smart bhi but ve apni personalty par dhyan nahi dete. Iska result kya nikalta hai ki jab bhi aap kahi job, interview ke liye jate hai to sabse pehle apki personalty dekhi jati hai. Apne ye to suna hoga ,First Impression is The Last Impression. To apko apni acchi personalty banani chahiye jisse apko baad main koi problem na ho.



ENGLISH SPEAKING 

Dosto aaj ke time main English bahaot important hai because agar aap kisi se baat karte hai and vo sapne wala totally english main baat kar raha ho to apko problem ho sakti hai. To apko apni english bhi improve karni chahiye. English ek aisi language hai jisko aap Whole World mein use kar sakte hai.



DIPLOMA COURSE

Kuch students kehte hai ki ham B.Com, BA, B.Tec, MBA kar rahe hai and hamara sara focus issi par so that's way ham koi bhi diploma nahi kar sakte but ye thinking bilkul wrong because agar ap koi bhi diploma course kar lete hai toho sakta hai ki vahi apka future bhi ban jaye. Isliye apko ek na ek diploma to jaroor karna chahiye.



LEARN SOME SKILLS

Kuch students ka interest kabhi kabhi kisi aur cheez main bhi hota hai jaise - electrician, mechnic, AC reparing etc, Aisi bahaot si skills hoti hai jo aapko jarror sikhni chahiye and ye apke liye bahaot helpful bhi ho sakta.



TAKE INTERSHIP FOR A GOOD CARRIER

Agar aap kisi ke under mein job karte hai like- agar aap CA ke pass job kar rahe hai to aap jo vaha par skills sikh rahe hai uske kehte hai Intership. Vase to bhaot sari interships hoti hai jaise ki agar aap Accountant banna chahte hai to aap kisi Accountant ke pass job karlo, aap MBA kar rahe hai to aap marketing ki job kar lo  etc. To is tarah ki bahot se work hai jinko aapko jaroor karna chahiye.



To dosto hamne apko ye sari skills batayi hai jinko aap graduation ke sath sath kar sakte hai but aap ek baat ka jaroor dhyan rakhe ki aap kuch bhi sikh rahe hai uske barein main pehle puri information le and then usko fir sikhe because kabhi kabhi hota kya hai ki aapne koi course salect kiya and vo course jyada beneficial nahi raha jisse apka carrier bhi khatremain pad sakta hai so jo bhi choose kare dekh kar hi kare.

So dosto apko hamari post kaisi lagi comment karke jaroor bataye and more updates ke liye aap hamari video bhi dekh sakte hai

link below hereπŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡





sbj Classes

Author & Editor

Has laoreet percipitur ad. Vide interesset in mei, no his legimus verterem. Et nostrum imperdiet appellantur usu, mnesarchum referrentur id vim.

0 comments:

Post a Comment