Sunday, September 20, 2020

SCHOOL RE-OPEN LATEST UPDATE | KIS KIS STATE MAIN KHULEGE AAJ SE SCHOOL

 Hello Students

Dosto news aa chuki hai ki aaj se kis kis state main 21-09-2020 se school re-open hoge. Vase to mostly state ki Government ne abhi bhi manjori nahi di hai school open karne ke liye but ho sakta hai ki jald hi khul jaye.



Total 29 states main se only 5 states ne hi school open karne ki manjoori di hai. Kuch state main aaj se open honge and kuch school mein next week se open hoge. To ve 5 states kon kon se hai chaliye dekhte hai

  • HARYANA
  • HIMANCHAL PRADESH
  • JHARKHAND
  • JAMMU & KASHMIR
  • ANDRA PRADESH
Only inn 5 states mein filhal school open ho rahe hai. Baki jo bade bade states hai jaise - Maharashtra, Uttar Pradesh etc , in sab states main filhal koi school, colleges nahi open hoge.



Bahot se students aise hai jo miss kar rahe hoge apne school times ko, friends ko but iss saal to bhool hi jaye ki school hota kya hai because ab apko vo purana mahol nahi milne wala. Ab situation badal chuki hai and mostly school main online hi study ho rahi hai, test papers ho rahe hai and sab kuch online hi ho raha hai.

Dosto inn 5 states mein school to reopen ho rahe hai but kuch Terms and Conditions ke sath to dekhte hai kon si ye conditions -

TERMS & CONDITIONS

  • 50 %  teachers and 50% students ke sath school open hoge and kahi kahi par 30% students hi honge
  • Maximum 5 hour se jayda school nahi chalege
  • 2 Students ke beech main 6 feet ka distance rehna jaroori hai
  • Ek room mein 10-15 students hi beth payege
  • Daily sanitization befor opening school and after closing school
To ye conditions hai school open karne ke liye but sabse badi baat ye hai ki ye compulsory nahi hai ki apko school aana hi hai, agar aap nahi aana chate hai to aap na aaye because kuch parents risk nahi lena chahte hai jo ki sahi bhi hai.

Because apko pehle apne parents se letter likhwana hoga permission ka uske bad hi aap school ja sakege. Ye rule accha banaya hai state ki government ne and ye sahi bhi hai. Agar koi bina permission ke school open bhi kar leta hai to uss school par penalty bhi lag sakti hai.

MORE UPDATES KE LIYE AAP HAMARI VIDEO DEKH SAKTE HAI

link below hereπŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡


TO DOSTO APKO HAMARI VIDEO KAISI LAGI
COMMENT KARKE JAROOR BATAYE 
AND MORE UPDATES KE LIYE
HAME FOLLOW KARE



sbj Classes

Author & Editor

Has laoreet percipitur ad. Vide interesset in mei, no his legimus verterem. Et nostrum imperdiet appellantur usu, mnesarchum referrentur id vim.

0 comments:

Post a Comment